aa jaao tadapte hain armaan
aa jaao tadapte hain armaan
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai

main roun yahan, tum chup ho vahan
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai

o, chaand ki rangat udne lagi
voh taaron ke dil ab doob gaye, doob gaye
hai dard bhara bechain sama
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai

is chaand ke dole mein aayi nazar
is chaand ke dole mein aayi nazar
yeh raat ki dulhan chal di kidhar, chal di kidhar
aawaaz to do, khoye ho kahan
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai

ghabraake nazar bhi haar gayi
ghabraake nazar bhi haar gayi
taqdeer ko bhi neend aane lagi, neend aane lagi
tum aate nahin, main jaaoon kahan

ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai
ab raat guzarne waali hai

Composição: