visualizaciones de letras 210

Saawali Si Raat

Arijit Singh

Saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Hmm saawali si raat ho, khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Neend jab ho laapata, udasiyaan zara hata
Khwabon ki razaai mein, raat ho teri meri

Hmmm mmm

Jhilmil taaron si aankhein teri
Khare khare paani ki jheelein bhare
Hardam yun hi tu hansti rahe
Har pal hai dil mein khwahishein

Khamoshi ki loriyaan Sun toh raat so gayi
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri
Saawali si raat ho khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri

Barfi ke tukde sa, chanda dekho aadha hai
Dheere dheere chakhna zara
Hmm hansne rulane ka aadha-pauna vaada hai
Kankhi se takna zara

Ye jo lamhe hain lamhon ki behti nadi mein
Haan bheeg loon, haan bheeg loon
Ye jo aankhen hain aankhon ki gumsum zubaan ko
Main seekh loon, haan seekh loon
Ankahi si guftagu, ansuni si justaju
Bin kahe bin sune, apni baat ho gayi

Saawali si raat ho khamoshi ka saath ho
Bin kahe bin sune, baat ho teri meri


Comentarios

Envía preguntas, explicaciones y curiosidades sobre la letra

0 / 500

Forma parte  de esta comunidad 

Haz preguntas sobre idiomas, interactúa con más fans de Arijit Singh y explora más allá de las letras.

Conoce a Letras Academy

¿Enviar a la central de preguntas?

Tus preguntas podrán ser contestadas por profesores y alumnos de la plataforma.

Comprende mejor con esta clase:

0 / 500

Opciones de selección